Ye kaisi paheli hai,kyun ise suljha nahi pa raha hun main
Dil ko tu jitna bhi cheer le,par dekh ei dard fir bhi muskura raha hun main.
Nehi pata rasta kahan hai,kya pata manzil kahan hai
Ye mera pagalpan hai ya tere die gam ka nasha hai.
Maut ka dar to nahi tha yar,par ab ye zindagi hi jakar rahi hai
Sayad teri bhi koi majburi hogi,sayad tub hi tarap rahi hai hai.
Teri yaad mujhe abhi bhi rulati hai,tarpati hai
Teri ankhon ka nasha,hasi ki kashish,kyun mujhe paas bulati hai.
Janta hun kasoor yeh tera nehi, par dosh bhi main aab kise dun
Tere liye jo sambhale rakhi thi,ab ye zindagi main kise dun.
Aanson bhi sukh gae,rona bhi nahi aata
Dard itna zyada hai ki,dard ka ehsaas hi nahi hota.
Yaad hai barsat ki woh sham,Adhe tum bheeg rahe the aur adhe hum
Sawan ab bhi barasti hai mere chat pe, par ab kitne duur hain hum.
Jab bhi chaha dam torna,tere chehre ne mujhe roka
Na maut ne sath diya,na zindagi ko main de paya dhoka.
Yadoon ke un bhikre pannon ko,ura lata hai ye pawan ka jhoka
Ehsaas hai tere sath ka,tu sach main thi ya tha koi dhoka
Woh beete din bhul na payenge,kitne kareeb the hum
Par ab kitne duur ho tum,aur kitne majboor hain hum.