Khamisiyon ka yeh shor,Ab mujhse nahi saha jata
Is duniya ki bheer mein,Ab tanha nahi raha jata.
Jis or bhi main dekhun,Bus aaye tu hi Nazar
Kash kahin se tu aa jaye,Kat jaye yeh tanha safar.
Is roshni ke sahar mein,Mere hi asman pe kyun nahi hai tare
Meri zindagi ke gulistan ke,Kyun kho gaye wh nazare.
Banna chahta tha zindagi,par ban kar rah gaya ek lamha
Di hai jisne logon ko khusi,Aaj khud hi rah gaya woh tanha.
Is dil mein kitna kuch hai batane ko,Par main kisse kahun
Koi to awaz de kahin se,Koi to de jaye is dil ko sukoon.
Khusiyon ka to sath nahi,Bus sath chand lamhe tanhai ke
Koi bhi to sath nahi,Bus main sath apni parchai ke.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment