Thursday, July 13, 2006

Ehsaas

Jise bhi dil ka dard sunaya,Usine iska mazak banaya
Ye bebasi kyun humko mili,Humne aisa kya ghunah kiya

Ehsaas hi nahi ke kab se yeh aankhein nam hai
Maut ka hume koi dar nahi,Yeh zinda hone ka gam hai

Koi nahi jo sath hai,Koi nahi jo pas hai
Bus is dard ne sath nibhaya,Bus iska hi ehsaas hai

Andar se tut chuka hun main,Ek lash ki tarah zinda hun main
Maut se milna hai mujhe,Pata nahi kis aas mein zinda hun main

Doosron ki khusi mein,Koshis karta hun khush hone ki
Janta hun aansu bhi sukh chuke hain,fir phi koshis karta hun rone ki

Bikhar chuka hun main,Apne hi tukde samet raha hun
Kisika bhi ab sth nahi,Bus yeh sansein sath na chore isiliye ji raha hun

Tera khumar,Tera nasha jo aj mera yeh haal hai
Jitna bhi sulajhaun,Utni hi ulajhti tu ek sawal hai

Khatm karna chahta hun jo bhi ehsaas he is sine mein
Taki takleef na ho is tarah tanhah jeene mein

Wednesday, July 05, 2006